ujhe lekhna nahi aata
Mujhe lekhna aagar aata
Tu lekta teri aankhon par
Bohat kuch lekhna chahoon mein
Teri aankhon ki palkhon par
Teri aankhon ki shokhi par
Tere naino ke kajal par
Ke jab tu baat karti hai
Tere hounto ki jumbish par
Teri lehrati zulfoon par
Ke jab tu muskurati hai
Goya phool khiltey hain
Ke jab tu ankh utati hai
Tu dil rukhnay say lagta hai
Ke jab tu apnay baloon mein
Koi gajra sajati hai
Fazain gungunati hain
Mein apnay dil ke jazboon ko
Tumhare naam karta hoon
Mujhe lekhna agar aata tu
Lekhta teri aankhoon par
magar
Mein kya karoon
Mujhe lekhna nahi aata